recent posts

AADHAR CARD KAISE BANAYE



HELLO FRIENDS,


Main aaapko bnate ja rha hu ki aadhar jaldi se jaldi or aasani se kaise bna sakte hai agr aap aisa hi easy tarika apnana chahte hai mere is article ko dhayan se padhe.

BEST KNOWLEDGE FOR YOU:-

Sabse pahle main aapko yeh jankaari ke liye bta rha hu ki aap Aadhar Card Online nahi bana sakte, Aapko E-Mitra Kiosk ya Aadhar Kendro par khud jana hoga. kiyu ki isko banane ke liye Finger or Eye scan ki jarurat padti hai. Aaj yah ek bahut importent document ban gaya hai, jisko indian government ne compulsory kar diya hai. Bina Aadhar card banaye aap kai kaam nhi kar sakte. jiske chalte  Aadhar card banwana jaruri hai iske liye apko kaha jana hoga or apne sath kaun kaun se document lgenge iske bare me puri details bata raha hu.

Jaisa ki pahle hi bata chuka hu ki online registration appointment ab band ho chuka hai,Aadhar Card Banwana hai to kendra par jana hoga. Yeh Free me banta hai, isko banwane ka koi paisa nahi lagta or India me kahi se bhi apply kar sakte hai.
India me isko banane ke kendra sabhi jagah par hai. agar apko nahi bata ki Aadhar Card kaha banta hai to aap yaha click karke malum kar sakte hai ki apke village ya post me kaha kaha par banega.


AADHAR CARD BANWANE KE LIYE IMPORTENT DOCUMENTS:-

Aap agar aadhar card banane ja rahe hai to apko iski puri jankari honi chahiye ki apko apne sath kis documents ko lekar jana hai. main bta rha hu ki apne sath kaun sa documents  lekar jana hai.
<i> Iidentity Proof ( पहचान प्रमाण पत्र )
<ii> Address Proof ( पता का प्रमाण पत्र )

Aadhar Card Ka Form Kaha Se Milega?

Aadhar Kendra se hi apko Form milega agar aap chahe to isko online download kar ke ghar se bhar ke le ja sakte hai. Isse apka time bhi bach jayega or apka card turant ban jayega.

<i> Aadhar Cendra par apne sath jaruri documents le kar jaye. or waha diye gaye form me mangi gai sabhi jankari sahi se bhare.

<ii> Aadhar kendra par Machine par apki Photo, Finger Prints aur iras Scan liye jayenge.

<iii>  waha ek rasid di jayegi. usme enrolment Number or apke dwara di gai details hogi, Aap usse Check kar le ki koi galti to nahi hai.

<iv> Apko jo Aadhar Slip mili hai, usse ache se smbhal kar rakhe. Apka aadhar ban jayega tab aap is rasid me likhe enlorment number ki madad se aap duplicate Aadhar card nikal 
<v> Aap keval ek bar hi Aadhar Card banwane ke liye Apply kar sakte hai. Phir se apply kkarne par alag se nahi banta hai.
<vi> Sabhi jankari sahi se bhare kiyu ki apke dwra di gai jankari Aadhar Office me Check hogi.
<vii> Adhar Card bante hi iska number apke phone par SMS or Email par bej diya jayega.
<viii> Iske banne me 30 se 60 din ka samye lagta hai.
<ix> Aadhar Card ban jane ke bad apke pass diye gaye pate par post se bheji jati hai.
<x> Agar apke pass Adhar Card nahi pahucha hai to, Apke mobile par aaye  se Online Duplicate Aadhar Card nikal sakte hai.

Abhi maine aapko yeh bataya ki AADHAR CARD kaise banwate hai. Agar apka koi sawal hai ya kuch pucna hai to comment kare. Mhujhe ummid hai ki AADHAR CARD banane ka tarika apke liye helpful hogi.
AADHAR CARD KAISE BANAYE AADHAR CARD KAISE BANAYE Reviewed by master all on November 17, 2017 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.